Unki Yadein,
Ankhein.
Num;
Na Jaane Kis Rah Se Woh Guzre;
Har Rah Par.
Ankein Bichaye Baithe Hain Hum.
Pehli baarish ka nasha hi kuchh alag hota hain,
Palko ko chhute hi sidha dil pe asar hota hain,
Mehka mehka saawan aaj iss dil ko behka raha hain,
Gumsum si nazro ko aaj ye pyar karna sikha raha hain
Barsat mein ham pani ban k baras jainge…
patjhar mein ham phol ban k jhar jainge…
kya hua jo aaj aap ko tang karte hain…
ek din aap ko bin bataye hi chalay jainge.
Yeh Baarishon Ke Moasam
Bus Usse Hain Wabasta
Keh Mohabbaton Mein Baarish
Barri Laazmi Si Shay Hay
Chahay Aasmaan Se Barsay
Chahay Chashm-e-Num Se Tapke
aaj chand pay lakhon pehray hain,
Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,
Agar bhigne ka itna hi shaukh hai baarish me,
To dekho in aankho me….
Baarish to har ek ke liye barasti hai,
Lekin yeh aankhe sirf tumhare liye barasti hai….
Mosam Hy Barish Ka Or Yaad Tumhari Aati Hy
Barish Ke Har Qatre Se Awaz Tumhari Aati Hy
Badal Jab Garajta Hy, Dil Ki Dharkan Bharhti Hy
Dil Ki Har ek Dharkan Se Awaz Tumhari Aati Hy
Wohi mehfooz rakhay ga merey ghar ko selaabon say,
Jo barish main Darakht say ghonsla girnay nahi daita.
Ab ke sawan main paani barsa bahut
Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut
Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
In barisho se adab-e-mohobbat seekho yaar,
Agar ye ruth b jayen to barasti bohot hian..
khyalon mein wahi, sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi.
Dharti se sawan ki bundein milne jab bhi aati hain,
Uski shikayat karti hain kuchh apna dard sunati hain.
Kuchh rishte naye banati ehsaas naya de jati hain,
Har ek kali ko phool baag ko gulshan kar jati hain.
Chahat nayi si hoti hai armaan naya de jati hain,
Kuchh khushi ke pal kuchh muskan nayi de jati hain.
Barsat ki bheegi raaton mein fir koi suhani yaad aayi,
Kuchh apna jamana yaad aaya kuchh unki jawani yaad aayi,
Hum bhool chuke the jisne hamein duniya mein akela chhor diya,
Jab gaur kiya to ek surat jaani pehchani yaad aayi.
Aye barish zara tham ke baras,
Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras,
Pehle na baras ki woh aa na sake,
Phir itna baras ki woh ja na sake.
Jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai,
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai.