Dil-e-Dastaan

Aansoo ko palko tak laya mat karo
Dil ki bat kisi ko bataya mat karo
Log muthhi mai NAMAK le ke phirte hai
Apne ZAKHAM unhe dikhaya mat karo.

 Muskrakar mila karo humse
Kuchh kaha kuchh suna karo
Humse baat karne se hi baat badti hai
JANAB isliye roz baat kiya karo humse.

Darte hai aag se Kahi jal na jaye
Darte hai khwab se kahi toot na jaye
Lekin sab se jyada darte hai AAP se
Kahi AAP hume bhul  na jaye .

Khusbu ne phoolo ko ek ehssas banaya
phoole ne baag ko kuch khas banaya
Chahat ne mohabbat ko ek pyas banaya
Aur is mohabbat ne ek aur ko 'DEVDAS' banaya.

Jaane Kis Mord Pe Jindgi yuhi khatam hojaye,,
Faqat..
Ke kaash us'se pehle tujhe mujhpe yakeen hojaye..

Khiayalo ko kisi aahat ki aas rehti hai
Nigaahon ko teri talaash rehti hai
Tere bina koi kami nahi lekin
Tere baghair tabiyat udaas rehti hai.

Nigaho pe Nigaho ke Pehere hote hai .
In Nigaho ke Ghav bhi Gehere hote hai.
Na jane Que Koste hai Lod Badsurato ko ,
Barbad Karne Wale to khubsurat Chehre hote hai .


???"Agar ho sakay to wapas kar do ....
Bina dil k hamara dil nahi lagta" ....!!!???

Kehte hai Bin Mehanat ke Kuch Nahi Paa Sakti
Hum Khuda se Puchte hai
Ae Dosto
Na Jaane Gum Paane ke Liye Hune Kaun si Mehanat ki Thi.

zindgi ki har kwahish puri nhi hoti sirf
Umid se har chiz hasil nhi hoti
Such haidil ki lagi kabhi nhi bujhti
Par gam se pehle khusi kabhi nhi milti.

Yuhi roz humse baatein kiya karo ki dil khush ho jaye,
Baatein baatoan mein khushiya  de diya karo,
Ki gam bhool jaye.

Koi khat nahi, koi khabar nahi,
Apko shayad rishte ki kadar nahi,
Hum to apko yaad karte hai har sans k sath,
Shayad apko hamari sanson ki koi fikar nahi.

Mein aur mere khuda roz bhool jaate hai,
Woh mere gunaaho ko, aur mein unki meherbaaniyo ko .


Log Har Manzil Ko Mushkil Samazte Hai,
Hum Har Mushkil Ko Manzil Samazte Hai
Bada Fark hai Logo Me Aur Hum Me,
Log Zndgi Ko Dard Or Hum Dard Ko Zindgi Samazte hai.

Bada azmaya logon ne apna banakar,
Bade dhokhe khaye sbko apna banakar,
Bada tanha sa tha main apno aur begano mein,
Ab sukoon mila ab apni tanhai ke paas aakar.

Ek Tasveer Jo Khawabo Ko Saja Jati Hai,
Kitne Soye Hue Jazbat Jaga Jati Hai,
Aaj Bhi Unki Yaaden Akele Me
Muskan Ban Kar Lab Par Khil Jati Hai


0 comments:

Post a Comment

Recommended Post Slide Out For Blogger