ZAZBAT MERE

Aankhon ke Sagar me jalan kesi hai
Dil ko Tadpne ki Lagan kesi hai
Baraf ki tarah pighal jayegi zindagi
Yeh door rehne ki kasam kaisi hai..!

Sochti hun sagar ki lahero ko dekh kar
Kyu yeh kinaray se takra kar palat jati hain
Karte hain ye sagar say befawai
Ya phir sagar se wafa nibhaten hain..!

Koi dikha ke roye,
Koi chhupa ke roye,
Hamein rulane wale hamein rulake roye,
Marne ka maza to tab hai yaron
Jab kaatil bhi zanaaje par aake roye….!

Majboor mohobbat jata na sake
 Zakham khate rahe kisi ko bata na sake
 Chahato ki had tak chaaha use
 Sirf apna dil nikal kar use dikha na sake..!

Dil hi ek aisi jagah h,
Jaha par kuch bhi boya jaye to badhta zarur h...
Phir chahe wo Pyar ho ya Nafrat..!

Waqt ki aandhi me tufaan badal jaate he
Zindagi ki raaho me insaan badal jaate he
Badalta nahi Pyar kabhi....
Pyar karne wale Insan Badal jate he..!

Juda hokar bhi unki hasrat na gyi
Uski judai par bhi usse mohabbt na gyi
Wo chale gaye kisi or ke sath
Fir bhi ankho ko uske intzar ki adat na gyi..!

Yaad Ata Hai Wo Pyar Uska.
Uske Pyar Ko Dil Se Mitaau Kaise.
Wo To Auron Ke Sath Khush Hai,
Par Mai Apna Dil Gairon Se Lagau Kaise?????


Aansu Ki Bunde Hai Ya Ankho Me Nami,
Na Upar Asman Na Niche Zami Hai,
Ye Kaisa Mod He ZindgiKa,
"Aapki"Hi Zarurat Hai Aur"Aapki"Hi Kami Hai"..!

Na Dil Hota
Na Dard Hota
Na Kisike aane ka Intezar Hota
Kat jaati Zindagi Tanhaai me
kash
ye Dil unke pyar me pagal na hota..!

Manzil kya Hai,
Rasta kya Hai,
Haunsla ho toh fasla kya hai,
Woh saza de ke door ja baithe,
Kis se puchhoo ki meri khataa kya hai..!


Wo muhabton ki adhori kitab lgta hai
Utre na jis ka khumar wo sharab lgta hai
Wo mjhse mujh ko bhi cheen leta hai
Mere khyalon ki saltnat ka wo nawab lgta hai
Wo sang chale to fasle bhi simat se jaate hain
Usske baghair sahal safar bhi azab lgta hai
Jo poch baithon uss se ke chhod to na jao ge
Hans k kehta hai aap ko aisey q janab lgta hai
Mere shabo-o-roz toh ussi se mansoob hen
Zamane ko chahe wo khrab lagta hai...!

Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua,
Na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua,
Jab log mujhse puchte hain hamari dosti ki dastaan,
Main keh deti hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua…



0 comments:

Post a Comment

Recommended Post Slide Out For Blogger