zakham-e-jigar (Mere pyar ka sila nahi )

Mere pyar ki koi keemat nhi,
Na koi sila hai
Aur mujhe v aapse koi gila nhi
Koi shikva nhi
hum khud apne dil ke hathon
Mazbur ho gaye,.
Aapko v apna jaisa insaan samjhne ki
Bhul kar baithe.
Khabar na thi ke pattharon ke seene
Me dil hua nhi karte..
Hum geet gaate rhenge tanhai me
Aapke pyar ke
Aksar rehti hun bekaraar
Aapko apna karaar de ke
Meri mohbbat aur vafa ka ab
Ye mujhe sila mila hai
Ki mere zakham-e-jigar ko apne hi ne kureda hai
Agar koi hota aapke siva gunhgaar
Ab tak dil se kya rooh se juda kar diye hote.
Magar main aapse kya kahun
Mere dil ka karaar ho aap,
Andhera v de to khush hai qunki
Es aankho ka noor ho aap..
Maana meri mohbbat ka koi sila nhi,
Mujhe ab aapse na koi shikayat aur koi gila nhi.
Zindagi yunhi aapki yaad me kat jayegi……..

0 comments:

Post a Comment

Recommended Post Slide Out For Blogger