Is dil main aa saka na koi
Is dil ko chura saka na koi
Kasoor is main kisi ka nahin
App jaisi jagah dil mein bana saka na koi …
Saja ye hai ki hamari aankho se
Chheen li neende sari
Jurm ye tha unke sath
Jine ke khwab dekh bethe…
Sari duniya ke riwajon se bagawat ki thi
Yaad aata hain maine bhi mohabbat ki thi
Usko chhod kar hanste hue ghar aakar
Itna roye ki aankhon ne qayamat ki thi…
Pyaar se pyaari koi majburi nahi hoti
Kami apno ki kabhi puri nahi hoti
Dilon ka juda hona ek alag baat hai
Nazro se door hona koi doori nahi hoti…
Pyar ke ujale me gum ka andhera kyu hai
Jisko hum chahe wahi rulata kyu hai
Mere rabba agar wo mera nasib nahi to
Aise logo se hume milata kyu hai…
Rona padta hai ek din muskurane ke baad
Yad aate hain wo dur jane ke baad
Dil to dukhta hee hai uske liye
Jo apna na ho sake itni mohabat jatane ke baad…
Zehar se zayada khatarnaak hai ye
Mohabbat
agar koi is ko chakh le to mar mar ke jeeta
Hai…
Pane se khone ka maza aur hai
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane shayari
Aur uss shayari main tere hone ka maza aur hai…
Zakhm mera hai dard mujko hota hai
Is zamane me kaun kiska hota hai
Unhe nind nahi aati jo pyar karta hai
Par jo dil ko todta hai woh chain se sota hai…
Meri koi khata to sabit kar
Agar buri hun to bura sabit kar
Tujhe chaha hai kitna tu jane kya
Chal mein bewafa sahi
Tu apni wafa to sabit kar…
Intezar ki arzu ab kho gayi he
Khamosiyo ki adat ho gayi he
Na sikwa raha na sikayat kisi se
Agar he to ek mohobbat
Jo in tanhai se ho gayi he…
Jaha sar juk jaye wahi khuda ka ghar hai
Jaha har nadi mil jaye wahi samandar hai
Is zindgi mein dard to sab dete hai
Jo har dard ko samaj sake wo hi hamdard hai…
Raat ki tanhayi me to har koi yaad kar leta hai
Ae dost
Subah uthte hi jo yaad aaye
Mohabbat usko kahte hai…
Unki tasveer ko seene se laga lete hain
Is tarah judai ka gham mitaa lete hain
Kisi tarah zikar ho jaye unka
To has kar bheegi palkein jhuka lete hain…
Sab honge yaha magar hum na honge
Hamare na hone se log kam na honge
Ase to bahot milenge pyar karanewale
Hum jese bhi milenge magar wo hum na honge…
0 comments:
Post a Comment