GAM KA AALAM

Sach ye hai bekar me gam hota hai.
Jo chaha es duniya me wo hi kam hota hai.
Gam ke ye andhere jangle.
Puchho mat kaisa dil ka aalam hota hai.
Gairon ko kab fursat hoti gam dene ki.
Koi deta hai jab aksar wo humdam hota hai.
Zakhm to en aankhon se dekhe hai.
Par logo se suna hai eska v koi marham hota hai.

Main bhul jaun tumhe ab ye munasib hai.
Magar bhulna chahu to v kaise bhulun
Tum ek haqikat ho koi raat me aaya khawab nhi.
Yanha to dil ka aisa aalam he.
Kya bhulau kya yaad rakhu.
Bhula sakti nhi wo silsile
Jo kbhi the hi nahi ye to ek khayal hai
Jo ab tak aawaz tak gya hi nhi.

 Maine kaha wo ajanbi hai
dil ne kaha ye dil ki lagi hai
Maine kaha wo sapna hai
dil ne kaha fir v tun apna hai
maine kaha wo do pal ki mulaqat hai
dil ne kaha ye sadiyon ka pyar hai
maine kaha ye meri haar hai
par dil ne kaha yehi to pyaar hai
nazaron se na shi dil se es rishte ko kanha inkaar hai


Kbhi kbhi aisa hota hai ki jaage jaage koi sota hai
Bin chahe dil khota hai..kanhi aisa na ho jaye..
Kab ye mausam badlenge kisko hai ye pata,
Kab armaan machlenge kisko hai ye pata,
Kab pyar ho jata hai koi jane na
Jane na dil mera,nazar se nazar mile to
Dekhegi aankhe sapna
Jo koi yun sath chale to lagega apna.
Jo aaj dur hai wo pas aayega.
Maan le ye hona jarur hai
Ye dil hai diwana tera wo
Kisiki na maanega…..

0 comments:

Post a Comment

Recommended Post Slide Out For Blogger