Tumhe pehli barish pasnd hai or mujhe barish me tum
Tumhe hasna pasand hai mujhe hastey huye tum,
Tumhe humse bat krna psnd hai, mujhe bolte hue tum
Tumhe sab kuchh pasand hain or mujhe bas tum…
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai,
Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai.
Badal jab garajte hain, dil ki dharkan badh jati hai,
Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai.
Jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai,
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai.
Mausam tha beqarar tumhein sochate rahe
Kal raat bar bar tumhein sochate rahe
Baarish hui to lag kar ghar ke dareeche se hum
Chup chap beqarar tumhein sochate rahe.
Kash meri zindegi mein aaye ek aisi barsaat
Mere hath mein ho tera hath
Bheegte rahein hum saari raat
Honth rahe khamosh
Bas aankhon se ho teri meri baat.
Khyalon mein wahi, sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi.
Aaj halki halki baarish hai,
Aaj sard hawa ka raqs bhi hai,
Aaj phool bhi nikhre nikhre hain,
Aaj un main tumhara aks bhi hai,
Tadap kar jalta hai yeh dil
Boond ban jaane ko man karta hai
Barish ki boond ki tarah
Tere seene se lipat jaane ko dil karta hai.
In barishon se adab-e-mohobbat seekho yaaro
Agar yeh ruth bhi jayein to barasti bohot hain.
Barishon ke mosam mein,
Tum ko yaad karney ki,
Aadatien purani hain!....,
Ab ki bar socha hai,
Aadatien badal dalein,
Phir khayal aaya ke ,
Aadatein badalne se,
Barishein nahin rukti.
Barsat ki bheegi raaton mein fir koi suhani yaad aayi,
Kuchh apna jamana yaad aaya kuchh unki jawani yaad aayi,
Hum bhool chuke the jisne hamein duniya mein akela chhod diya,
Jab gaur kiya to ek surat jaani pehchani yaad aayi.
Aye barish zara tham ke baras,
Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras,
Pehle na baras ki woh aa na sake,
Phir itna baras ki woh ja na sake.
Kisne bheege hue baalon se ye jhatkaa pani,
Jhoom ke aayi ghata toot ke barasa pani.
Koi matawali ghata peeke jawani ki umang,
Dil baha le gaya barsat ka pehala pani.
Bin badal barsaat nahin hoti,
Suraj doobe bina raat nahin hoti,
Ab kuchh aise haalat hain hamare ki,
Aapko dekhe bagair din ki shuruwat nahin hoti.
Rimjhim barsati barsaat mein
Milane jab bhi tum aati ho
Pani ki yeh boondein tum par
Kyun itna sitam mujh per dhati ho
Jhoolti hain tumhare balo par
Palkon par attak kahin jaati hain
Galon ko tumhare chhute hue
Gale se lipat si aati hain
Najar hamari behakti hai
Dil ki dhadkan badh jaati hai
Bohat jalta hai yeh man
Boond jab tumahre seene mein chhup jaati hai
0 comments:
Post a Comment