BADLA SA NAZARA

Aaj rat kuchh badala badala sa nazara lagata hai
Kyu aaj  khwab bhi apana paraya lagta hai

Jaise kuchh kho diya ho is dil ne
Viran jangal sa kyun dil ka nazara lagta hai

Jaise phool bhi bhool gaye ho hasna
Mausam bahar ka hai aur khiza ka lagta hai

Abhi to maujo ne sahil se dosti ki thi
Kyu gum-sum sa sahil ka kinara lagta hai

Kabhi jo do ghadi bhi door na rah sakta tha
Kyu aaj bat karne ko akhri kinara rakha hai

Jo zuban naam pukare bina na rahti thi
Aaj rat usne naam hamara paraya rakha hai

Meri har bat pe jo aitabar karta tha
Aaj rat kyu uske sawalo me gila lagta hai

Na padh saka jo meri soch padha karta tha
jane kis bat pe usko bura sa lagta hai

Jo mila muj ko sada lafz mohabbat-e-dost ban kar
Kyu aaj lafz wo ansuwon se mita rakha hai

Kasoor kya hai mera koi mujh ko batla de
Kyu aaj saaye se apne mujhe dar lagta hai

Kyu wo is qadar naraz ho gaya hum se
Jo hume apni jaan se bhi pyara lagta hai

Rooh me basaye jise rakha tha maine
Aaj wo kabhi na aane ki bat karke paraya sa lagta hai







0 comments:

Post a Comment

Recommended Post Slide Out For Blogger