Tere Pyar ne zindagi se pehchan karai hai
Mujhe wo tufano se fir lauta ke layi hai
Bas itni hi dua karte hai khuda se hum
Bujhe na yeh shama jo jala rakhi hai ..
Main sar se paanv tak apne hi ashqo me nahaya hun
Teri yaad me larjte dil se tumhare pas aaya hun
Chhupa lo apni baanho me mere gham aasna
Tum ho kanha jau ke meri zindagi ka aasra tum ho..
Ye daman ab na chhutega kvi
Sune jiwan ki ek bahar ho tum
Aaogi har subah yunhi banke kiran
Ye aitbar dil ko qun hai.?
Chand lamhe hi to hamare hai
Jo hamne teri yaad me guzare hai
Dub ke dekh kvi to ho malum
Mauje dariya ki tarah yadon ke kinare hai
Janha pyar k tarane hote hai
Sab kuchh mila sukun ki daulat nhi mili
Ek tujh ko bhool jane ki mohlat nhi mili
Karne ko bhaut kaam thy apne liye
Magar hum ko tere khayal se fursat nhi mili. .
Tumne hame intzar kraya,
Harpal,har lamha ham ne kiya.
Hame malum,tha tum nhi aanewale
Esiliye hamne tumko
Apane dil me basa liya jaise dhadkan..
Ye dil,ye pagal dil mera qun bujh gya aawargi.
Es virane me ek shahar tha wo kya hua aawargi.
Kal subah mujhe beshakl aawaz ne mujhe chaunka diya,
Maine puchha tum kaun ho usne kaha aawargi.
Ye dard ki tanhaiya aur sehra ka akela safar
Ham to ukta gye apni suna aawargi.
Ek ajnabi jhonke ne jab puchha mere gham ka sabab
Sehra ki ret pe maine likha aawargi.
Ham us dil me kaise jiyenge
Ho janha zurm tanha sochna lekin saza aawargi
Ye dil ye pagal dil mera qun bujh gya
Apni hathon ki lakiro me basa le mujhko
Hun tera nasib to apna le mujhko
Hun kaanta to daaman bacha k chal
Hun phool to apne sine me chhupa le mujhe..
Dil to hai usi ka hai zigar v hai to usi ka hai
Jo khud ko raah a ishq me barbaad kar de
Parvaaz karte hai zammi ke parinde hi aasman me. .
Tun mujhe soch kvi ye chahat hai meri,
Main tujhe jaan kahun ye hasrat hai meri.
Main tere pyar ka armaan liye baitha hun.
Tun kvi kisi aur ko chahe aisa khuda na kare. .
Meri mehrum mohbbat ka sahara tu hai
Main jo jeeta hun to mere jine ka bahana tu hai
Main apne dil pe tere pyar ka ehsan liye baitha hun
Mere jeene ki vajah tu hai..
Tan me saanso me ye kaisa tufaan hai
Ye kaisi betaabi hai
Ye anjani qun khamoshi hai
Dil me jo baate hai hontho pe lao na.
Kyon tanha khamosh ho
Ab koi na duri na koi inkaar hai
Ab mere khawabon me aao na..aao na..
Hamne zafaa na sikhi unko vafa na aayi
Patthar se dil lagaya aur dil pe chot khayi
Kis se kre shikayat kis se kre adavat
Hamne zafaa na sikhi unko vafa na aayi..
Unhe kehna ke palkon pe na daale
Khawab ki chadar
Samundar ke kinare ghar bana ke
Kuchh nahi milta
Mujhe aksar chand sitaron
Se bhari khamosh raat
Se yehi aawaj aati hai
Kisike ishq me neende ganva
Ke kuchh nahi milta
Yanha begairat logon se mil
Ke kuchh nahi milta
Siva jhuthi tassali or vaade ke..
Pyar nazaaro se ho to use kudrat kehte hai.
Sitaron se ho to zannat kehte hai.
Husn se ho to ishq kehte hai,
Aur pyar aapse ho to use kismat kehte hai..
Ruthna ho jaruri to rutha karo
Par baad me maan jane ka vada kro
Pyar ke mod pe mil gye ho to
Kuchh hansne hasane ka vada kro..
Phulo me jo noor hai wo tera hi shurur hai
Baato me jo pyar hai wo kiska gurur hai
Jo bhi tere pas hai wo mere liye khas hai..
Kanha tak ye mann ko andhere chhalenge
Udaasi bhare din kvi to dhalege
Ye patjhad ke mausam pal do pal ke
Khija me fir se phool khilenge
Kahe koi kuchh v par lahar jo pyar ki uth rhi hai
Ek din kinare milege..
Chand ke pas jo sitara hai wo hasin lagta hai.
Jab se tum ho meri nigaahon me ye zahan hasin lagta hai
Dil to do dilon ki chahat hai wohi meri amanat hai.
Raat tanhaiyon ki dushman ho
Par tanhai meri hamsafar hai.
Safar koi v ho kat jata hai.
Manzil mile ya na mile.
Ishq tujhse karta hun main zindagi se zyada
Main darta nhi maut se, teri judai se zyada
Chahe to aazma le mujhe kisi aur se zyada
Meri zindagi me kuchh nhi,teri mohbbat se zyada..
"Zindagi me hamesha sabki jarurat Rakho"
par kisiki kami nhi..!
Qunki Zarurat aur v koi puri kar sakta hai
par "kisiki kami puri nhi kar sakta..
Ye hai shola ye hai chingari
Lamhon ki ek kitab hai zindagi
Khushi aur gham ka hisab hai zindagi
Ku6 tamannaye puri to kuchh adhuri
Bus aise hi sawal hai zindagi…