KYA BAT HAI




Zindgi to aise hi chala kar ti hai
Lekin  kuch alag ho jaye to …..

KYA BAT HAI


Nahi bharane rang muje  tarah tarah ke  ..
Lekin  koi indradhanush bana jaye to…

KYA BAT HAI

Nahi kahna  muje kisi se  kuchh
Lekin  bina kahe  hi koi samaj jaye to ……


KYA BAT HAI

Alag alag chahero ki hai ye duniya
Lekin achanak se koi anjan hi muskrat jaye to….


KYA BAT HAI

Zindgi pyar ka dusra nam hai
Lekin  * TUM HI PYAR HO* ye koi kah jaye to …

KYA BAT HAI


Jite to hai sab apne liye
Lekin  koi dusro ke liye ji jaye to …

 KYA BAT HAI

Aise to kuchh likhana ata nahi muje
Lekin aise hi kuchh likha jaye
Aur
Aap ko pasand aa jaye to kahena ki..

KYA BAT HAI





Recommended Post Slide Out For Blogger